hungama hay kioon barpaa thori si jo pi li hay
daaka hi to daala hay ! mehnat to nahi ki hay .........
ye hay pakistani siaasat daanoon ki pasandeedaa ghazal !
magar un pey hi kyaa moqoof !
ye jo hamarey paiti bhaee hain !
ham paisha o ham mashrab !
hamraaz o dam saaz !
qaum k sodaagar ! taajiraan - e- qalam ,
in k baarey main jab soochta hoon to dil jaltaa hay ,
wo jaisey kabhi koi kutta raatib ko daikh k dum hilaata hay na !
aap ney bhi daikha ho ga kabhi to ...........
kabhi kuutey nahi paaley ?
thootni sey raal tapakti hay jab raatib nazar aajaye !
bas wohi haal hota hay in bey zameeroon ka
JAB RAATIB NAZAR AAJAYEE !
IS HAMAM MAIN SAB NANGEY HAIN !







